Tuesday, 26 February 2013

chand meray





Chand Meray


Chand meray
tu beshak mujh se baat na kar
chahat ka izhar na kar
mujh se itna payar kar
dil ko apnay beqarar na kar
mujhko apna dildar na kar
Ishq ko ikhtayar na kar
Chand meray
tu beshak mera aitbar na kar

mein tu tujh se payar karoon
chahat ka izhar karoon
tujh ko apna yaar karoon
Ishq ko iktayar karoon
chand meray
mein tu teray sath rahon
mein tu tere sath jion
mein teray sath maron
chand meray

Monday, 18 February 2013

Aurat aik paheli




Aurat aik Paheeli




Aurat aik paheli sajan 
aurat aik paheli
aap he apni dushman huvay
aap he apni saheli
aurat aik paheli sajan 
aurat aik paheli

iskp koi samjh na paaye
jitna samjhay uljhta jaaye
uljhi hui iss dori ka 
sira koi na paaye
yeh aisi albeli
aurat aik paheeli sajan
aurat aik paheeli

kabhi Ishq ki khatir kachay gharay par
tufaano se yeh takrati hy
kbhi bhai ki khatir yeh apnay mehboob se
bewafai tak kar jaati hy
kabhi sasi ban ban thalon uder
roti hy kurlati hy
kabhi bbul k onchay shimlay khatir
apna aap lutati hy 
yeh aisi rang rangli 
aurat aik paheeli sajan 
aurat aikpaheeli

aap he apni dushman huvay
aap he apni saheeli
aurat aik paheeli

Wednesday, 13 February 2013

Udasi ka sabab




Mujh Se Udasi Ka sabbab na poocho




Mujh se udasi ka sabab na poocho
mein tu shaira hoon
hassas si
unhi udas ho jati hoon
choti choti baaton par
kisi bachay ko roti k liey rotay daikh kar
kisi borhay ko zindgi bojh dhotay daikh kar
ya yunhi koi chirya jab  pankhay se lag k zakmi hoti hy
uska dard mujhay rula deeta hy
mein aksar ro b parti hoon
yunhi kisi ki bebasi par
kisi ameer ki be hissi par
kisi mazdoor ki zindagi par
mein aksar gham zada hoti hoon
kisi ko koi jab chor k jaata hy
kisi prem khani mein jab judai ka mor aata hy
ya koi phir iss jahan k agay bebas ho jata hy
mein uss k gham mein rob hi parti hoon
mujh se meri udasi ka sabab na poocho
mein tu bas yunhi udas ho jati hoon