Tuesday, 11 June 2013

Tujhay bholnay ka bahana kartay hein





Tujhay Bhoolnay ka bahana kartay hein







Tujhay bholnay ka bahana kartay hein
Chalo ab khatam yeh afsana kartay hein


Khud he mit'tay thay wafa kay naam pay
chalo ab tum ko bhi deewana kartay hein


Bohat zakham lagay hein hamaray dil par
Chalo ab teray dil ko nishana kartay hein

Iss say pehlay tu chor de humko hum
Teri mohabbat se khud ko begana kartay hein

Tum ko apna dil bana kay daikh lia hum ne
halo ab dil ko zamana kartay hein

Zarrorat he nahi wasal ki keh hum
band kar k aankein rubaro rukh e jaana kartay hein


Tum nay tu dhoond li ghair ki banhoon mein panah
Chalo ab hum bhi kahein apna thikana kartay hein

Chalo hum bhi ab pukarein Faraz ki tarah
chalo hum bhi jaana jaana kartay hein



Sunday, 5 May 2013

Khubsorti mein apni missal tha woh bhi




Khubsurti mein apni missal tha woh bhi






Khubsorti mein Apni missal tha woh bhi
Haan dilnaseen sahib e jamal tha woh bhi

Thi Hussan walon mein dhoom bhi apni 
aur wajh e husan o jamal tha woh bhi

Thi sahib e nazar mein bhi un dino
Aur Shahib e kamal tha woh bhi

Tha mujh pe bhi chaya payar ka nasha
aur meray Ishq mein nihal tha woh bhi

Usko paa k meri dhadkanein bhi thi thami si
Paa k mujhay khushi se nihal tha woh bhi

Gar mein bhi thi khayam ki ek rubayi
Kisi Shayar ka ek haseen khayal tha woh bhi

Meri Bhi gar nahi thi koi missal mumkin
khud aap apni he missal tha woh bhi

tha waqat e judai aasaman bhi shafaq rang sa
aur mujh se bhichar k kuch pur milal tha woh bhi


Tuesday, 16 April 2013

Mohabbat aur khwab

Mohabbat Aur Khawab


 



Mohabbat aur khawab mein
bohat se baatein mushtarik hoti hein

doono band aankhon se daikhen
tu acha lagtay hein
doono he mein saray rishtay
sachay lagtay hy

doono he ka taulaq 
aanhon se hota hy
doono he ka rista 

saanson se hota hy

doono k safar mein agar rahi 
bohat door nikal jaaein tu
phir mur nahi paatay
doono he agar aik baar toot jaaein tu
phir jur nahi paatay

Mohabbat aur khawab mein
bohat se baatein mushtarik hoti hein



Thursday, 28 March 2013

Ussay Kehna!!!




Ussay Kehna!!!




This Poem Is dedicated to my Partner Prafulla 
A gift from me on her B'day 



Aye Baharoo!!
Agar tumhara guzar ho kabhi wahan 
tu ussay kehna
Ussay hum dhonfhtay hein 
Aati baharoon Jaati khizaoon mein
apnay dil ki galiyun mein 
Shokh mosam ki aadaon  mein

Ussay Kehna!!!
Sarad Hawa jab Paishani ko cho k guzarti hy
to
Besakhta dil ko thamtay hein
Hawaoon mein bhi bas uska Lams talshtay hein


Ussay Kehna!!!!

Ussay hum chahtay hein
Shayad Dil o jaan se barh k
Zameen aasman se barh k
Saaray jahan se barh k
khud apni Rooh o Jaan se barh k


Ussay kehna!!!

Woh abhi tak shamil hy
Meri Roshan Aankhon mein
meri chalti saansoon mein
Meri machalti dhaknoon mein


Ussay kehna!!!

Ab lout aaye 
keh
Yeh judai sahi na jaaye hum se
yeh aur baat hy keh
yeh baat uss se kahi na jaaye hum se


Ussay kehna!!!

Hum jahan bhi hoon gaye 
Ussi kay rahein gaye
har khushi ghum mil k sahein gaye
Ussi ko apna sab kuch kahein gaye
Ussay Kehna!!!
Ussay Kehna!!!


Wednesday, 20 March 2013

Ab lout aao na



Ab Lout Aao Na

 
Suno!!! 

Pichlay saal sawan mein 
Bichrtay waqat
tum ne kaha tha
keh
Aglay saal jab sawan ki pehli baarish 
barsay gi
pehla qatra teri khikdi 
par dastak day ga

tum mujh mujhy yaad karna
mein jahan bhi hoon ga
lout aaon ga

So aaj 
sawan ki pehli barish barsi hy

suno!

Sawan lout aaya hy
ab tum bhi lout aao na

       

Saturday, 16 March 2013

Ab Kis Liye Roti ho tum


Ab Kis Liye Roti ho tum

  


Ab kis liye rooti ho tum
apnay daman ko askoon se bhagooti ho tum
tum ne he to kaha tha na mujh se aik din
"tumhein yeh ghalt fehmi hy k
 tum meri zindagi ka hasil ho
tum meri zindagi mein shamil ho
tumhein ghalt fehmi hy k
mera dil sirf teray liye dhadkta hy
meri ragoon mein laho ban k tu behta hy
yeh tumhari ghalat fehmi hy"


theeik teri har baat theik
par jaana
tum he chahti thi na mein iss dunia ki bheer mein
kaheen kho jaoo
tujh se itna door chala jaoon
teri yaadon mein bhi na aaon
so mein ne tera hukam maan lia
judaai ko apna muqadar jaan lia


par jaana
tum kyun ab meray pichay bhagti hoo
kyun har chahray mein mera aks tlasti ho
tumhari aankon mein
aansoon ka mustaqil daira kyun hy
teray dehaan mein rehta har
har dam mera chehra kyun hy
batao na ab kis liye roti ho tum 
  

tum ne he kaha tha na
k hammary darmayan bas nafrat ka rishta hy
so ab kis mohabbat ka wasta de k  maana rahi ho mujhy
baatao na jaana kyun apni oor phir se bula rahi ho mujhy
ab kiss liye dukhi ho tum
ab kis liye roti ho tum