Tujhay Bhoolnay ka bahana kartay hein
Tujhay bholnay ka bahana kartay hein
Chalo ab khatam yeh afsana kartay hein
Khud he mit'tay thay wafa kay naam pay
chalo ab tum ko bhi deewana kartay hein
Bohat zakham lagay hein hamaray dil par
Chalo ab teray dil ko nishana kartay hein
Iss say pehlay tu chor de humko hum
Teri mohabbat se khud ko begana kartay hein
Tum ko apna dil bana kay daikh lia hum ne
halo ab dil ko zamana kartay hein
Zarrorat he nahi wasal ki keh hum
band kar k aankein rubaro rukh e jaana kartay hein
Tum nay tu dhoond li ghair ki banhoon mein panah
Chalo ab hum bhi kahein apna thikana kartay hein
Chalo hum bhi ab pukarein Faraz ki tarah
chalo hum bhi jaana jaana kartay hein
oyeee faiiiiiiiiiiii:D
ReplyDeleteloveddddd it....
lovedd this line
iss sy phele ke tu chor de hum ko
hum teri mohabbat sy khud ko begana karte han
chaaaaaaaa gayiiiiiiiiiiii
luv ya
hugss
waiting for more :x
Thanks Sara
Deletehugggggssssssssssssss
Omg Gheron ki bahoon me panah :$ loved it naina....
ReplyDeletehahaha thank u speechless I I mean sehar
Deletewow
ReplyDeleteloved it
awesome
n i am not talking to u
itne baad update di
now i want the next one really fast
oyeeeeeeeeeeeeeeeee na kar yaar
DeleteWah Faizie its superb
ReplyDeleteI know you are a great poet no doubt
but MashahAllah Nikhar gayi ho ab tu ;)
very deep and pure urdu poetry
Cha gaye ho janab
ah woh aye blog pay hammaray khuda ki qudrat hy
DeleteHoney aur yahan aahan
shukriya janab
awesome one
ReplyDeleteits amazing one Miss
you are a great poet
thanks hawt
Delete